Thursday 25 August 2011

poetry- some stolen some own

Raat yun dil me teri khoyee hui yaad aayi
Jaise veerane me chupke se bahaar aa jaaye
jaise sehraon me haule se chale baad e naseem (hawa)
jaise beemar ko bewajah qarar aa jaaye. (Faiz)

Ye tajurba bhi khud par aazmaoon main
k usko yaad karoon khud ko bhool jaoon main!

Ye rang anokhe hain ye jazbe nirale hain
jo tumne diye hain lamhe wo bolne wale hain
iss dil ki daulat ka mol nahi hai pyaare
iss daulat k rakhne wale sab hi diwale hain
har lamhe me ji lete hain jo poori zingani
wo log hi zinda hain wo log jiyale hain
iss dard ki behshat me aana nahi h aasaan
aansoo jo hain nikle wo ab samandar k hawale hain
har raat ko mar ke rehte hain ye zinda
parwane hi sachche aashiq deewane hain..



Zindgi khel hai, aur khel me agar
chot lag jaaye to rona kaisa
kuch na paane par shikayat kaisi
kuch na paaya to khona kaisa




No comments:

Post a Comment

Khutbah al Muniqa : Hazrat Ali's Sermon Without Alif'

 Alif in eastern philosophy stands for Oneness, it is the first letter and the most important letter arguably.  Tashayyo Video Link: https:/...