Thursday 25 August 2011

Khwab

Khwab marte nahi..
Khwab dil hain, na aankhen na saanse k jo
reza reza hue to bikhar jayenge
Jism ki maut se yeh bhi mar jayenge
khwab marte nahi
khwab to roshni hain, nawa hain, hawa hain
Jo kaale paharo se rukte nahi
zulm k dozakhon se bhi phukte nahi
Roshni aur nawa aur hawa k aalam
maqtalon me bhi pahunch kar ye jhukte nahi
khwab to hurf hain
khwab to nuur hain
khwab to suqrat hain (socrates)
khwab mansoor hain!

Ahmad Faraz

No comments:

Post a Comment

Khutbah al Muniqa : Hazrat Ali's Sermon Without Alif'

 Alif in eastern philosophy stands for Oneness, it is the first letter and the most important letter arguably.  Tashayyo Video Link: https:/...