Thursday 16 July 2015

Bheegi Palken


Udaas palko pe nami si rehti hai
Har she'h me teri kami si rehti hai

dil ne kuch aisi chot khayi hai 
har ek shakhs se ab dushmani si rehti hai

teri daleelo' ko sun to lete hain
khamosh dil ko magar be'kali si rehti hai

suna hai usko mil gayi khushiyan
hamare labon par aah e bebasi si rehti hai  

Ishq me dhoka iss tarah se khaya hai 
hum sochte the mohabbat sada qeemti si rehti hai

tere saath ki bewafaiyon ke baad
har aas se na-ummeedi si rehti hai

mohabbat ki deemak lag gayi hai zaat ko 
jaane kaise jism ki imarat khadi si rehti hai

rahbar ne raste hi gum kar diye
har ek gaam pe be-nishani si rehti hai

phir wahin laut kar aaye hain jahan tumko khoya tha
munderon pe ab bhi dhoop khili si rehti hai

hum to dil haar chuke lut bhi chuke
arzuon ki bazar e ishq me boli lagi si rehti hai

aane ka waada karke maa'zirat to kar li tumne
nazaro ki darwaze par bas tiktiki bandhi si rehti hai  

tumhari meherbaniyan tumhare sitam tumhare karam  
dil ko har lamha ab dhadka sa pareshani si rehti hai   

No comments:

Post a Comment

Khutbah al Muniqa : Hazrat Ali's Sermon Without Alif'

 Alif in eastern philosophy stands for Oneness, it is the first letter and the most important letter arguably.  Tashayyo Video Link: https:/...