Saturday 10 September 2011

Ramblings

 
Insecurity
Ehsaas ajab rehta hai
tumhari aisi baaton ke baad
Na paaon ke neeche zameen ..
na sar par koi aasmaan hota hai
na maaazi ki koi yaad ka lamha baqi
na hi mustaqbil se koi ummeed
Aur kabhi zameen dete ho to
aasmaan le lete ho
kabhi aasmaan diya to zameen kheench li
kabhi kabhi dono maujood
Aur kabhi dono gayab....




woh jin par hum sab kuch lutaaye baithe hain
wohi hum se nazrain phiraye baithe hain
kaise karen aapse hi hum aap ki be rukhi ka gila
ke aap hi hum ko rulaaye baithe hain
ponchhe kaun kis ke aansoo
sab hi ek doosre ko sataye baithe hain
kis tarah paayen bandgi ka sukoon
ke sab apne alag Khuda banaye baithe hain
shab ko guzarenge kis taur se jana
ke aap ke hi khwab hum ko jagaye baithe hain
 woh baat jo chhupani thi dil ki aapse
 wohi baat hum aapko bataye baithe hain!!






My eyes are not beautiful!
They just look lovely
when they long for you..
They just sparkle
when they spot you..
They just laugh
when you are around them
They just cry
when you are away from them..
My eyes become the most beautiful eyes in the world..
When you are in them!!!

Khamoshiyan bhi sitam karti hain
ab zara ilzam ko alfaz bhi dijiye
khata hamari sangeen sahi par
ab zara faisla suna bhi dijiye!!


Palko par thehre aansoo hi saughat hain chahat ke
zindagi ki nami ko mehsoos karke to dekho!



No comments:

Post a Comment

Khutbah al Muniqa : Hazrat Ali's Sermon Without Alif'

 Alif in eastern philosophy stands for Oneness, it is the first letter and the most important letter arguably.  Tashayyo Video Link: https:/...