Saturday 10 September 2011

for friends!!


Dosti bhi ajab jazba hai...dost bhi kamaal hain!

Jinka dava tha ke khamoshi ko samajh lete hain 
unke sath ab khamoshi ka hi bawal hai!!
waqt guzra hai dil ka haal kahe,
waqt milna bhi bada sawal hai!
jab umar bhar ka raha hai sath
phir kyun chhoti chhoti baaton ka malal hai?
kuch bhi gile sahi dil me magar
Asal me, dil ko to phir bhi khayal hai
Hazaar baaton ke kehne ke baad bhi
Woh jo baat thi kehna muhaal hai!
Dil ke rishton ko lafzo me kehna nahi hai asaan,
In me talatum to hai par inko nahi zawal hai!
Yaaro hum roti sabzi k khane wale hain
kab ye poochha h ke boti haram h ke Halal h?
Har ek apne taur se zindgi ko jeeta hai,
Sharab ya shabab, sab faltu ka wabal hai.
kuch na milega, Jahan ke laal o jawahar lekar,
Maut se pehle maarne ki, ye sab chaal hai
Jab saare milkar khilaf bolte hain,
Zehen yehi sochta hai,isme kya koi Jaal h?
Aap ko galat kahen hum, tauba- tauba
Arre janab, hamari kahan ye majaal hai??
tv ke purane show ka naam vikram aur betal hai
& French open ka champion Nadal h (sorry!!rhyming over!)

talatum (disturbance) Zawal (khatam)



No comments:

Post a Comment

Beedi Peeti Aurat

 बीड़ी पीती औरत   अंकुश लगती है घूरती निगाहों को समाज नकारता है कुढ़ता है उसकी बेईमानी पर   उसके कर्त्तव्य याद दिलाता है   ये उसका हक़ नहीं   इ...