Thursday 5 November 2015

Adhoore

Pa kar khone ka 
malaal alag hota hai
Kuch lafzo me bayaan karna
Kuch yun hi chhod dena
Kabhi gehri aah lekar
Ankh se gira dena
Kabhi kisi se keh dena
Kahin kisi se sun lena
Zikr us Mohabbat ka
Fikr us Musafir ki
Dukh us adhoore Safar ka!!


Tumko yaad hai
Jab balcony me baith kar
Humne dekhi thi barish
Aur samne tha
Woh adhoora makan
Ab
Woh makan poora hai
Adhoore hain
Hum!!

No comments:

Post a Comment

Khutbah al Muniqa : Hazrat Ali's Sermon Without Alif'

 Alif in eastern philosophy stands for Oneness, it is the first letter and the most important letter arguably.  Tashayyo Video Link: https:/...