Saturday 3 October 2015

The 'Othering' of the 'Self'


Ajab do raha hai
yeh rishte ka
Woh rishta jisko kabhi
nahi kiya darj kisi register me
suni dil ki
kari dil ki..

Rishte par bharosa tha
ke khatam hoga
umar ke sath
chalega saans ke sath
aur liya bhi
waise hi be-parvaai se
jaise lete hain saans!

Jab rishta kho gaya
to laga jeevan
samapt ho gaya
kaise zinda
reh sakte the hum
kaise samna karte
unka jo dete the misaal hamari
kehte the 'understanding' kamal hamari
kya kehte logo se
mohabbat khatam ho gayi
'complications' ho jaati hain
'personal problems' ho jaati hain!

Ab jakar lagwana hoga thappa sarkari
jahan kabhi judne ka record na banaya
wahan rishta todne ki arzi deni hogi!
Likhwana hoga sarkari kagaz par
saboot/ gawah ke sath
Us rishte ke tootne ka sach
jo kanoonan kabhi bana hi nahi!

Rishte dil ke hote hain
jab dil badal gaya
to kya wohi azeeyat* kaafi nahi
kyun deni hogi safai
kyun?kaise?kab ki?
Arzi lagayen
Mai-baap khatam kar do
iss dor ko
kaat do yahin beech se
rok do hamari saans yahin par!
Kya euthanesia ka bhi same process/procedure hai??

(*muddat- period, *azeeyat- takleef)

No comments:

Post a Comment

Khutbah al Muniqa : Hazrat Ali's Sermon Without Alif'

 Alif in eastern philosophy stands for Oneness, it is the first letter and the most important letter arguably.  Tashayyo Video Link: https:/...