Saturday 2 May 2015

dard- 2

Iss dard ka koi naam nahi
iss dard ki koi zaat nahi
iss ka dharam imaan nahi
yeh jab rago me behta hai
dil khoon ke aansoo rota hai
na koi paata hai na khota hai
iss me to koi jeet haar nahi
iss dard ka koi naam nahi

jism ke ek ek reshe se
yeh jaan salab kar leta hai
honto ko chup lagti hai
ankhon me paani deta hai
iss dard ka koi naam nahi

yeh ajab sa ek rishta qayam kar deta hai
 dard dene lene wala
dono ko sooli deta hai
adhi adhoori saanson pe rakhta hai
na jeene deta hai na marne deta hai
iss dard ka koi naam nahi
iss ki to koi zaat nahi
iss ka dharam imaan nahi!!

No comments:

Post a Comment

Beedi Peeti Aurat

 बीड़ी पीती औरत   अंकुश लगती है घूरती निगाहों को समाज नकारता है कुढ़ता है उसकी बेईमानी पर   उसके कर्त्तव्य याद दिलाता है   ये उसका हक़ नहीं   इ...