Thursday 20 December 2012

Black Hole


Sirf Jism ki maut hi kaafi nahi
Dil ko maut aa jaaye
to bhi dard bada hota hai..
khwahishen na milen
to khalish si rehti hai
yeh jo mil jaayen 
phir kyun khala sa rehta hai!

insan ke andar ka black hole
sab kuch apne me sama to leta hai
magar yeh be-hissi bhi to badha deta hai 
na kisi khushi ki khushi
na koi gham ka aansoo
bas ek raah par
musafir ke paon chalte rehte hain
na musafir ko pata na raste ko
ke rasta manzil tak jayega bhi ya nahi
kya farak padta hai
kaun udaas hota hai
kaun wapasi ki raah takta hai
bas rasta aur musafir hi sathi hain
koi aur hath na sujhai de
na koi apna dikhai de
bas raah ka patthar
jo choom le qadmo ko
ye sath bhi bada bhala rehta hai
magar zehen hai ke
soche jata hai
poochhe jata hai
jaane woh log kahan gaye
jo safar ke sathi the
jinke sath safar khatam karna tha
shayad meri tarah
yeh kambakht
black hole unko bhi kha gaya!

No comments:

Post a Comment

Beedi Peeti Aurat

 बीड़ी पीती औरत   अंकुश लगती है घूरती निगाहों को समाज नकारता है कुढ़ता है उसकी बेईमानी पर   उसके कर्त्तव्य याद दिलाता है   ये उसका हक़ नहीं   इ...