Saturday 2 June 2012

Tajurba (Experience)

Tajurbe zindagi ki fitrat* hain
Magar  inki ajab hi qudrat hai
Milna inka saans ke sath chalta rehta hai
Achha ya bura, waqt guzarta rehta hai

Koi sayana keh gaya hai..
kyun daren zindagi me kya hoga?
Kuch na hoga to tajurba hoga!

Taqdeer apne dhang chalti hai
aqal apne rang badalti hai
zindagi ko rangeen karte hain
Tajurbe har baar Yakeen* badalte hain!

Inka hona bhi badi rehmat hai
har ek insan ki zaroorat hain
tajurbo se shakhsiyaten banti hain
yaadon ki zanjeeren bandhti hain
Ye na ho to insan bilkul khali hai
Khala hai usme aur bekhayali hai!

tajurbe zindagi ka hasil hain
har ek cheez me yeh shamil hain
bina inke kayenat adhoori hai
inka hona bada zaroori hai
Tajurbe humse ya phir hum inse chalte hain
har ek din nayi shakal badalte hain
Har Tajurba nayi raah dikhata hai
Aur sach poochhiye to humko yehi chalata hai!
Tajurbe hausla badhate hain
zindgi ke naye sabaq sikhate hain!


*fitrat - nature
* Yakeen- (tried and tested,known ways)

No comments:

Post a Comment

Beedi Peeti Aurat

 बीड़ी पीती औरत   अंकुश लगती है घूरती निगाहों को समाज नकारता है कुढ़ता है उसकी बेईमानी पर   उसके कर्त्तव्य याद दिलाता है   ये उसका हक़ नहीं   इ...