Jab bhi mayoos hue
ek meherban ma ki baahon ki tarah
sambhala tha iss shehar ne mujhe
gudaz daman se
apne sab raste phela diye the
Jahan chaho chale jao
Apni manzil chun lo...
Ab Ma boodhi ho gayi hai
zimmedari zyada lagti hai
iski nayi imaaraten bhi khandhar lagti hain
aur iske khandharo se
sab bad-roohen aur jinn
Is cement ke jungle ko chhod gaye hain
Jinno ko logo ke paigham aane band ho gaye the
Na jaane log sayane ho gaye the ya Jinn
Suna hai unse veerani bardasht na hui!
Shehar ki sadko pe daudte bhagte bashinde
ankhon me bechaini basaye phirte hain
yeh shehar ke pollution ka dhuaan hai
ya qatal hue armano ka!
khwaishon ke jungle me
hamari bhi qismat aisi nikli
ke in rasto pe
dil ki vahshat kam na hui
aur paon ke nishan
chunte chunte
peechha karte rahe
tumhari yaadon ka
un sookhe patto ka
jinko kabhi hara
daali par laga dekha tha
jinse ose ki boondein
amrit ki tarah hum ne pee thi
ab daali se gir kar
be-jaan hawa me udte phirte hain
kuch hamari hi tarah
awara se be-misraf* se!
Dariya ko ufaan* par dekhne
hum kitni duur tak gaye the
ab woh dariya utar gaya hai..
uska paani gadla hai
aur suna hai iss baar bada sakht sookha pada hai!
woh phalwala jiske aam khatte the
aur tumne sab ke sab
apne hath se mujhe khila diye the
ab chappal seeta mila tha
phalo ka mausam chala gaya hai..
Omlette wala to
abhi tak intezar me hai
ke kab tum usko milne phir jaoge
usko pata nahi tumhari aadat ka
tum yunhi logo ko aas de diya karte ho
ummeed baant diya karte ho
iss shehar ki tarah
iss shehar ki tarah
wohi kam aqal tha jo aetbaar kar baitha!
(be-misraf - purposeless)(*ufaan- river in spate)
No comments:
Post a Comment