Aajkal bada mushkil ho gaya hai
Is aam se sawal ka jawab dena
ke "hum kaise hain?"
Agar kaha ke hum theek hain, to itni jaldi?
Aur agar kaha, abhi tak theek nahi,
to itni der kyun??
Agar chalte chalte yun lage
Ke achanak paon be-his ho gaye hain
Chala to rahe hain jism ko par mehsoos nahi hote
sannata sa rehta hai
zehen ke andar aur bahar bhi
ankhen chhalakne ko betab rehti hain
Dil ki jagah lagta hai ek aabla hai dard ka
Barf ka mausam hai
Jo har jazbe me utar aaya hai
Deemak ki tarah mohabbat
andar se khokhla kar gayi aur
ilm bhi na hua
ke jism ko kab ghun lag gaya
aur imarat kab dheh gayi
Ankhen ab raah takte takte patthar ho jayen
To bhi labo se na koi
awaz ayegi
Aur na hi koi shikwa niklega
Woh meri mohabbat thi
Yeh meri shikast hai;
baqi hum bafazle Khuda
bilkul theek thaak hain!
No comments:
Post a Comment