Sunday, 16 August 2015

Rukhsat


kal shaam jab suraj dhala
badhte andheron me
ujalon ki baat ki thi humne
kai zamano ke baad
maazi ke guzre lamho ko yaad kiya tha
tere jaane ki sakht ghadi ko
kayi baar jiya tha humne!

aur mera sawal
jiska koi jawab bhi
nahi de paaye the tum
"kya yaad bhi nahi aati"
kaisa ehmaqana sawal tha!
aise sawal ka jawab hota bhi kya bhala
jab jawab hum dono hi jante the!

kya koi aise bhi rukhsat hota hai
na awaaz ke phaaye
na nami ankhon me
na qadmo ke koi nishan hi chhode
na 'khuda hafiz' hi keh paye Zindagi tumko!

Kaun aaya tha, kaise gaya
yahin the abhi, ab nahi ho
samajh na sake hum
bas kuch toote hue tukde mile the darwaze par
us rishte ke jisko
bade pyar aur mehnat se sanwara tha
ab sirf sannata hai
is ghar me bhi
aur mujh me bhi!







No comments:

Post a Comment

Cold Icy winds Hit my face, as I watch mothers adjusting caps, keeping babies warm. Men don jackets, gloves, girls wrap themselves in a ...