Friday, 20 April 2012

weekend

ye din bade zaroori hain
jitni hamari majboori hain
sab in  hi dino ke hawale ki jati hain
k kar lenge sab poori
jab ye din aayenge

afsos magar waqt kam hai
zindgi ke itne gham hain
mukammal karen to kaise
yehi hoti hai koshish jaise- taise
bhar len saare rang ankho me
kar len qaid reth ko hatho me
par reth phisalti rehti hai
guzarta rehta hai har lamha
daud daud kar, bhag bhagkar
abhi to shopping hai baqi,
safai adhoori rakhi hai
inse milna milana tha
unse bhi batiyana tha
arre khana bhi to pakana tha
woh kitab kitne din se adhoori h
woh film bhi to zaroori hai

hazaron khwaishen aisi
jinki kismat me nahi poora hona
ke lo aa gayi hai woh subah
jiska darr tha
monday morning blues ki taza tasveer bankar
ghoomta hua dikhta hai har shakhs yahan!

ummeed to hai baqi
k woh din phir aayenge
jab hum khud ko phir se aazmayenge
yeh kaam akhir kabhi to
Khatm ho jayenge!!
  

No comments:

Post a Comment

Cold Icy winds Hit my face, as I watch mothers adjusting caps, keeping babies warm. Men don jackets, gloves, girls wrap themselves in a ...