Dard kuch der hi rehta hai buhat dair nahi
Jis tarah shaakh se torey hue ek patte ka rang
Mand par jata hai kuch roz alag shaakh se reh kar
Shaakh se toot kar yeh dard jeeyega kab tak…?
Khatam ho jayegi jab is ki rasad…
Timtimayega zara der ko bujhte bujhte…
Aur phir lambi si ek saans dhuen ki lekar…
Khatam ho jayega,yeh dard bhi bujh jayega
Dard kuch dair hi rehta hai,buhat dair nahi!!
Gulzar
Iss waqt to yun lagta hai ab kuch bhi nahi hai
mahtab na suraj na andhera na sawera
ankhon ke dariche mein kisi husn ki chilman
aur dil ki panahon mein kisi dard ka dera
mumkin hai koi vaham ho mumkin hai suna ho
galiyon mein kisi chap ka ek akhiri phera
shakhon mein khayalon ke ghane ped ke shayad
ab aake karega na koi khwab basera
na bair na mahar na rabt na rishta
tera koi apna na paraya koi mera
mana ki ye sun-san ghadi sakht Kadi hai
lekin mere dil ye to faqat ek hi ghadi hai
himmat karo jine ko to ek umr padi hai
- Faiz ahmed Faiz
No comments:
Post a Comment