Friday, 6 April 2012

Umbilical Cord


Jab
Lafz khatam ho jayen
Khamoshiyan bhi
Kahin andar chup ho jayen
Jab
Sirf ehsaas ho
Dard ka, Tanhai ka...
Jab
Woh sabse purani yaad
Jahan se yaaden shuru hoti hain
Jab
Woh pehli baat,
Jahan se baaten shuru hoti hain
Jab
Wo wus'aton ke paar chali jaaye
Wo duaon ka saaya na rahe sar par
Tab
Himmat ko awaz do
To awaz dam tod de
Jab
Zindagi ke rasto ki shuruaat
Phir se karni pade
Bina kisi ki ungli thame
Bina kisi dor ko pakde
Tab
Ehsas gehrata hai
Ke Umbilical cord
Ko to paidayish par hi kaat diya tha
Bas mehsoos ab hua..
Tumhare jaane ke baad!

No comments:

Post a Comment

Cold Icy winds Hit my face, as I watch mothers adjusting caps, keeping babies warm. Men don jackets, gloves, girls wrap themselves in a ...