वो जो दरिया था..
Woh jo dariya tha...
Woh utar gaya yaaron
Uske ghaat par jalte murdo ki nishaniyan
Unme kahin uski bhi thi kahaniyan
Sabke gunahon ko jo dhoya usne
Sab me kuch-kuch khudko khoya usne
Din ne dhoop ka aaina chamkaya
Chehra pani ka aur bhi dhundlaya
Dariya chand se bhi sharminda tha
Usme uska aks ab kahan zinda tha
Uska zakham bada gehra tha
Wo ab awara behiss* bebehra* tha
Dil Dariya ka to kab ka mar gaya tha
Woh jo dariya tha
Woh kab ka Utar gaya tha yaaron!
*बेहिस / behiss- emotionless
*बेबेहरा / bebehra-not bothered
वो उतर गया यारों
उसके घाट पर जलते मुरदों की निशानियां
उनमें कहीं कुछ उसकी भी थी कहानीयां
जो सबके गुनाहों को धोया उसने
तो सब में खुद को खोया उसने
दिन ने जो सूरज की धूप का आईना चमकाया
पानी का चेहरा उसमें कुछ और भी धुंधलाया
दरिया तो अपने चांद से भी शर्मिंदा था
उसमें उसका अक्स अब कहां जिंदा था
दरिया का ज़ख़्म बड़ा गहरा था
दरिया अब बेहिस बेबेहरा था
बरसात में गुज़रते बादलों ने
उस पर कभी जिंदगी बरसाई थी
मगर दरिया के लिए नाकाफी थी
पानी को प्यास तो जन्मों की थी
दिल दरिया का मर गया था
वो जो दरिया था
वो कब का उतर गया था !
Woh jo dariya tha...
Woh utar gaya yaaron
Uske ghaat par jalte murdo ki nishaniyan
Unme kahin uski bhi thi kahaniyan
Sabke gunahon ko jo dhoya usne
Sab me kuch-kuch khudko khoya usne
Din ne dhoop ka aaina chamkaya
Chehra pani ka aur bhi dhundlaya
Dariya chand se bhi sharminda tha
Usme uska aks ab kahan zinda tha
Uska zakham bada gehra tha
Wo ab awara behiss* bebehra* tha
Guzarte Barsaat ke badal ne
Kabhi Meherbani ki thi
Kabhi usko zindagi di thi
Par ye pyaas Janmo ki thi!Kabhi Meherbani ki thi
Kabhi usko zindagi di thi
Dil Dariya ka to kab ka mar gaya tha
Woh jo dariya tha
Woh kab ka Utar gaya tha yaaron!
*बेहिस / behiss- emotionless
*बेबेहरा / bebehra-not bothered
No comments:
Post a Comment