Wednesday, 15 June 2016

Mohabbat Mo'tabar hai


Mohabbat Mo'tabar* Hai
Koi ilzam nahi
Jo mathe par sajaya jaaye
Koi ehsan nahi
Jholi me giraya jaaye
Khairat* ka sikka nahi
Jhuk kar uthaya jaaye

Dastan dil ki
Dastan dard ki
Jo kahi nahi
Woh suna karo
Jo suni nahi
Woh kaha karo

Dunya se ladna
Bahut asaan Jana
Sabse mushkil magar
Jung Khudi ki
Jeetna bhi khud se
Harana bhi khud ko
Uthna bhi khud se
Girana bhi khud ko
Samajhna bhi khud se
Samjhana bhi khud ko
Roothna bhi tum se
Manana bhi tumko

Rishto'n se aetbar uth jaaye
Yakeen wa'don se jaaye
Gehre ghup andhero me
Ek maddham kiran
Kahin chupke se aaye
Gum karde tareeki*
Ujale raste dikh laaye

Mohabbat Aezaz* Hai
Mohabbat Mo'tabar Hai
Koi ilzam nahi
Jo mathe par sajaya jaaye
Koi ehsan nahi
Jo jholi me giraya jaaye
Khairat* ka sikka nahi
Jo jhuk kar uthaya jaaye

*Mo'tabar - High Esteem/ regard
*Khairat- Charity
*Tareeki - Darkness
* Aezaz- Honor

2 comments:

  1. Beautiful, Subhanallah, Mashallah
    A lot more positive than your previous ones. May God be with you in your writings and thoughts

    ReplyDelete

Cold Icy winds Hit my face, as I watch mothers adjusting caps, keeping babies warm. Men don jackets, gloves, girls wrap themselves in a ...