Tanha akela
Palm ka Ped..
Palm ka Ped..
Raat ke andhere me
Uske saaye ghane lagte hain'
Roshni me magar
sab sach khul jaate hain..
Na saaya ghana
Na koi phal na phool
Na kisi chidiya ka ashiyana
Na koi mannat ka dhaga
Na musafir ka thikana
Na khazane ka suragh
Bas tan ke khada rehta hai
Itrata hua
Apni shakho ko lehrata hua
Apni zaat ke tilism me gum
Khudi me khush
Khudi me magan
Aise bhi basar ho sakti hai zindgi
Aur shayad yeh behtar ho zindgi
Na kisi ki ummeed
Na kisi se wasta
Na kisi ko aas
Na kisi ka rasta
Bas
Apni khudi ko maan lo
Phir Khuda se bhi khatam Rabta
Sirf
Main
aur
Main ka shehar
Uska Malik main
Uski Makhlooq bhi main
Munsif, Muddayi
sirf
Main
Tanha bhi Main
Saathi bhi Main
Tum bhi Main
Aur
Aap bhi Main
Woh
Palm ka ped
Palm ka ped
Itna bhi tanha
Nahi Shayad.....
Nahi Shayad.....
No comments:
Post a Comment