Saturday, 20 February 2016

Dhund

Dhund me ..
Paon be-his se chalte rehte hain
Kitne lamho ki bani sadiyon se
Koi manzil dikhti nahi
Koi raah mudti nahi
Thakan thakti nahi
Nazar uthti hi nahi
Yeh kaun hai mere jaisa mujhme
Jiski awaaz bhi sunayi deti nahi

Hum khud hi se hairan se rehte hain
Ajab safar ka mod hai
Zindagi khud se bhi tanha lagi hai kabhi
Kabhi apni si kabhi parayi si
Kabhi bikhri si kabhi sajayi si
Yeh tamasha yunhi chalta rehta hai
Kitne lamho ki bani sadiyon se
Dhund ka safar chalta hi rehta hai!

No comments:

Post a Comment

Cold Icy winds Hit my face, as I watch mothers adjusting caps, keeping babies warm. Men don jackets, gloves, girls wrap themselves in a ...