Chand bhi ajab musafir hai
Har roz safar karta hai
Kabhi tanha
Kabhi taaron me
Kahin chhupta kahin nikalta hua
Tareek rehguzaron par
Apne andheron ko chhupaye hue
Roshni ke jazeeron par
Saayon ki talash me
Bhatakta rehta hai
Dhoondta rehta hai
Raah takta hai raat bhar ektak
Taktaki lagaye hue
Subah ki akheer tak
Jab tak Ujala usko gum na kar de
Woh intezar karta hai
Aur ...
Phir mayoos laut jaata hai
Apni adhoori talash ko lekar
Apne jism ki laash ko lekar
Apni andheri duniya me
Ajab musafir hai Chand
Har roz nakaam safar karta hai!