Khwaab marte nahin
Khwaab dil hain na aankhein na saansein ke jo
Rezaa-rezaa hue to bikhar jayenge
Jism ki maut se yeh bhi mar jayenge
Khwaab marte nahin
Khwaab to roshni hain, navaa hain, hawa hain
Jo kaale paharon se rukte nahin
Zulm ke dozakhon se bhi phukte nahi
Roshni aur navaa aur hawa ke alam
Maqtalon mein pohanch kar bhi jhukte nahin
Khwaab to Harf hain
Khwaab to Noor hain
Khwaab to Suqraat hain
Khwaab Mansoor hain
Ahmad Faraz
Dreams do not die
Dreams are neither heart, nor eyes nor breath
Which when turn to bits, would scatter
Would wither with body's death.
Dreams do not die
Dreams are Light, Melody, Breeze
Black mountains cannot stop them
Persecution's Hell fire cannot burn them
Flags of light, sound and breeze
Executioners' square cannot bow them
Dreams are Letters
Dreams are Light
Dreams are Socrates
Dreams are Mansoor
No comments:
Post a Comment