Suna hai is saal Sardi me
Raat aur bhi gehri syaah hogi
Aur itni ghani Dhund
ke kuch dikhayi dega
na sujhayi..
na sach
na jhoot
na apne
na paraye
na rishta
na aetbar
Jazbo ke sath
har cheez par hogi
barf ki chadar
garam garam chuski ke sath
moongphali ke chhilkon ke dher
Andhero ke saaye
maazi ki tasveero par lehrate hain
ab in tasveeron ke rang
ud gaye hain
aur frame ko deemak kha gayi hai
Sawan ka sailab
le gaya baha kar
ghar mera
aur thand aisi padi
ke na sirf log barf hue
balke rishte bhi jam gaye
Dhoop ki garmi
pighla deti barf ko magar
umar bhar ke liye
lag gaya grahan
suraj ko
aur jeevan me ab
thehar gaya hai
sardi ka mausam!
No comments:
Post a Comment