Saturday, 10 September 2011

& here goes Ghalib..

Koi ummeed bar nahi aati
Koi surat nazar nahi aati
 maut ka ek din muayyun hai 
neend kyon raat bhar nahi aati
aage aati thi haal e dil pe hansi
ab kisi baat par nahi aati
hum wahan hain jahan se hum ko bhi
khud hamari khabar nahi aati
Kaaba kis munh se jaoge Ghalib
sharam tum ko magar nahi aati....


Ranj ka khoogar ho insan to mit jata hai gham
mushkilen mujh par padi itni ke aasan ho gayi..

No comments:

Post a Comment

Cold Icy winds Hit my face, as I watch mothers adjusting caps, keeping babies warm. Men don jackets, gloves, girls wrap themselves in a ...