जेब जिसके पास
वो बादशाह है
क़लन्दर है
जेब में दुनिया का
सारा समंदर है
जेब में रखें
रोटी या मिठाई
फूल के साथ
पत्थर को भी रसाई
ख़िज़ाँ के पत्ते, मूंगफली, सिक्के
चूड़ी, चाबी, पेंसिल, रबर, बुँदे ,
फटे रुक़्क़े, वादे,आंसू
सब गिले सारी शिकायतें ,
बरसात के रंग
आरज़ू, ख्वाहिशें
बादल के टुकड़े
बालों के रिबन, कंघी, क्लिप
घर की हिदायतें
मैले मुड़े नोट, हसरतें
चांदनी रातों की बरकतें
बहार की बशारतें
सब जेब की अमानत हैं
जेब जो कट जाए
तो बस ख़ुदारा क़यामत है !!!
جیب جسکے پاس
وہ بادشاہ ہے
قلندر ہے
جیب میں دنیا کا
سارا سمندر ہے
جیب میں رکھیں
روٹی یا مٹھایی
پھول کے ساتھ
پتھرکوبھی رسایی
خزاں کے پتے , مونگفلی ,سکّے
چوڑی , چابی , پنسل , ربڑ ,بندے
پھٹے رققے , وعدے، آنسو
سب گلے ساری شکایتیں,
برسات کے رنگ
آرزو,خواہشیں
بادل کے ٹکڑے
بالوں کے ربن, کنگھی,کلپ ,
گھر کی ہدایتیں
میلے مٹرے نوٹ , حسرتیں
چاندنی راتوں کی برکتیں
بہار کی بشارتیں
سب جب کی امانت ہیں
جیب جوکٹ جائے
تو بس خدارا قیامت ہے
Jeb jiske paas
Wo badshah hai
Qalandar hai
Jeb mein dunya ka
saara samandar hai
Jeb mein rakhen
Roti ya mithayi
Phool ke saath
Patthar ko bhi rasaayi
Khizan ke patte, moongphali, sikke
Choodi, Chaabi, pencil, rubber, bunde,
Phate ruqqe, vaade, aansoo
Sab gile saari shikayatein,
Barsaat ke rang
Arzoo, khwahishein
Baadal ke tukde
Baalon ke ribbon, kanghi, clip,
Ghar ki hidaayatein
Maile mude note, hasratein
Chandni raaton ki barkatein
Bahaar ki bashaaratein
Sab Jeb ki amaanat hai
Jeb jo kat jaaye
To bas Khudaara Qayamat hai!!
Qalandar hai
Jeb mein dunya ka
saara samandar hai
Jeb mein rakhen
Roti ya mithayi
Phool ke saath
Patthar ko bhi rasaayi
Khizan ke patte, moongphali, sikke
Choodi, Chaabi, pencil, rubber, bunde,
Phate ruqqe, vaade, aansoo
Sab gile saari shikayatein,
Barsaat ke rang
Arzoo, khwahishein
Baadal ke tukde
Baalon ke ribbon, kanghi, clip,
Ghar ki hidaayatein
Maile mude note, hasratein
Chandni raaton ki barkatein
Bahaar ki bashaaratein
Sab Jeb ki amaanat hai
Jeb jo kat jaaye
To bas Khudaara Qayamat hai!!