Friday, 18 September 2015

Tanhayee


Kai baar yeh ehad*
khud se toda hai
ke azeeyat* dene wali socho
ko ab na socha karenge hum
Magar shaam dhalte hi
purane dost ki tarah
yeh aa jati hain haath thame
gale me baahen daale
tanhai ko abaad karne
khala ko bharne


kaash ke tanhai ko
is dard ko
bhej sakte
kisi kagaz par utaar kar tumko
magar isko
kagaz par utarna
mumkin hi nahi
kaali raat ke jaise
kagaz par phel jati hain
na koi lafz
na koi rang
jaise hamari kismat
bilkul syaah..

ek sannata
hota hai chaarsoo*
usme goonjti rehti hai tumhari
awaaz aur uske saaye
aur chalta rehta hai
deewar par guzre waqto ka video
us sabki tarah jo band hai
tumhare zehen ke camera me!


(*ehad- waada
azeeyat- extreme pain
khala- void
syaah- kala
charsoo*- chaaron taraf)

Tuesday, 8 September 2015

Suni - Sunayi



Sune hain tumhare kisse- kahaniyan jana
Jab se tark e talluq* se guzre hain hum jana
suna hai badi sukoon ki neend sote ho
suna hai ab gussa nahi hote ho
suna hai koi tees kisi khoyi mohabbat ki nahi baqi
suna hai aankh me nami ab nahi aati
suna hai apne rishte ka sach auro se
suna hai sab jhooth tha,dikhawa tha
suna hai humne ke sab ek bahlawa tha
suna hai humne ke yun hi hona likha tha
suna hai humne ke sab faisla hamara tha


Bahut kuch kehne ko abhi bhi hai baaqi jana
dil ki zuban band aur ankhon me hai paani jana
suna hai khamosh jazbo ki apni zuban  hoti hai
sunaa hai kuch ghadiyan badi be-imaan hoti hain
suna hai humne kai baaton ko jo be-yakeen lagti hain
suna hai humne tum ko chahaten badi haseen lagti hain

Jurm ka aetraaf* laga hai humko yeh jana
ke mohabbat ki hai saza mili hamein jana
suna hai iss jurm ki maafi nahi hoti hai
suna hai sazaye maut bhi kaafi nahi hoti hai
suna hai bas ek kaal kothri numa zindgi hoti hai
suna hai tanhayee ki azeeyat* shadeed* hoti hai

Yeh sab suni sunayi baatein ajab lagti hain
Yaaden sab sayebaan* si lagti hain
Tumko mubarak tumhari khushi jana
Humko dard me hai muskurana jana
Kasoor hamara saza ke qabil tha jana
Jab jurm mohabbat tha saza kismat thi jana ...


*tark e talluq- breaking of relations
*aetraaf- confession
*azeeyat- pain
*shadeed- extreme
*sayeban- shade

Cold Icy winds Hit my face, as I watch mothers adjusting caps, keeping babies warm. Men don jackets, gloves, girls wrap themselves in a ...