Thursday, 11 June 2015

Aatmhatya (suicide/ in hindi- killing one's soul)


Woh saal hi aisa tha
sab predictions yehi kehte the 
sookha parega aisa ke ankh 
taras jayegi ansoo ki ek boond ko bhi!
har cheez par ayegi aisi museebat ke
har koi mangega panah!
qudrat jisko hamesha abuse kiya
us ma ki tarah
jisko hamesha gaali di
par jab usne apni rehmat chheni 
tab samajhe
qayamat kisko kehte hain!

aise waqt me rishte kaise phalte?
na barish ki woh mehak
na nami
bas har taraf
thaka dene wali 
ankhen chaundhyane wali dhoop
aisi dhoop to khadi pakki faslon ko bhi sookha deti hai
phir mera rishta to tha bhi aisa nazuk
kya jaana tha ke barish ki boond ke intezar me 
yeh sookh jayega
aur phir khabar wohi ayegi hamare baare me akhbaar me
ke ek kisan ne phir ki aatmhatya!

najaane yeh log isko aatmhatya kyun kehte hain 
hatya to jism ki
karte hain na
aatma to amar hai
na jalti hai
na rukti hai 
na thehri hai 
na dabi hai kahin
noor ki boondo me se ek boond
jo sada behti rehti hai
phir na koi sooraj usko jala paya 
na qudrat khatam kar paayi usko
aur na hi maut!


Cold Icy winds Hit my face, as I watch mothers adjusting caps, keeping babies warm. Men don jackets, gloves, girls wrap themselves in a ...