Dedicated to all iPods, iPads, Kindles & Laptops
Kitaabein jhankti hain band almaari ke sheeshon se
badi hasrat se takti hain mahino ab mulaqatein nahi hoti
jo shaamein unki sohbat me kata karti thi
ab aksar guzar jaati hain computer ke pardo par
badi bechain rehti hain kitaabein
unhe ab neend me chalne ki aadat ho gayi hai
jo qadren woh sunati thi ke
jinke cell kabhi marte nahi the
woh qadren ab nazar aati nahi hain ghar me
jo rishte woh sunati thi woh saare udhre udhre hain
koi safha palatta hoon to ek siski sunyi deti hai
kai lafzo ke mayine gir pade hain
bina patto ke sookhe tund lagte hain woh sab alfaz
jin par ab koi mayine nahi ugte
zabaan par zayeqa aata tha jo safha* palatne ka (page)
ab ungli click karne se
bas ek chhapki guzarti hai
bahut kuch teh ba teh khulta chala jata hai pardo par
kitaabo se jo zaati rabta tha
kat gaya hai
kabhi seene par rakh kar let jaate the
kabhi godi me lete the
kabhi ghutno ko apni rehel ki soorat bana kar
neem* sajde me padha karte the chhote the jabeen* se (neem- half/ jabeen-head)
magar wo jo kitaabo se mila karte the
sookhe phool aur mehke hue ruqqe * (letters)
kitaabein maangne, girne, uthane ke bahane jo rishte bante the
ab unka kya hoga
woh shayad ab nahi hoga!!
किताबें झाँकती हैं बंद अलमारी के शीशों से
बड़ी हसरत से ताकती हैं महीनो अब मुलाक़ातें नहीं होती
जो शामें उनकी सोहबत मे कटा करती थी
अब अक्सर गुज़र जाती हैं कंप्यूटर के पर्दो पर
बड़ी बेचैन रेहती हैं किताबें
उन्हे अब नींद मे चलने की आदत हो गयी है
जो क़दरें वो सुनाती थी के
जिनके सेल कभी मरते नहीं थे
वो क़दरें अब नज़र आती नहीं हैं घर मे
जो रिश्ते वो सुनाती थी वो सारे उधड़े उधड़े हैं
कोई सफ़हा पलटता हूँ तो एक सिसकी सुनाई देती है
कई लफ्ज़ो के माइने गिर पड़े हैं
बिना पत्तो के सूखे तुंड लगते हैं वो सब अल्फ़ाज़
जिन पर अब कोई माइने नहीं उगते
ज़बान पर ज़ायेक़ा आता था जो सफ़हा* पलटने का (पेज)
अब उंगली क्लिक करने से
बस एक च्छपकी गुज़रती है
बहुत कु छ तेह बा तेह खुलता चला जाता है पर्दो पर
किताबो से जो ज़ाती राब्ता था कट गया है
कभी सीने पर रख कर लेट जाते थे
कभी गोदी मे लेते थे
कभी घुटनो को अपनी रेहेल की सूरत बना कर
नीम* सजदे मे पढ़ा करते थे छुते थे जबीं* से (नीम- आधा / जबीं- मaथा)
मगर वो जो किताबो से मिला करते थे
सूखे फूल और मेहके हुए रुक़्क़े * (letters)
किताबें मांगने, गिरने, उठाने के बहाने जो रिश्ते बंधते थे
अब उनका क्या होगा
वो शायद अब नहीं होगा!!