Monday, 29 April 2013

tukbandi

Dhund me chalne me safar kam sa lagta hai
dard nahi, phir bhi zakham sa lagta hai

Khuda jaane kaisi basti ka rehne wala hoon
har ek shakhs se apnapan sa lagta hai

Uljhan ka kahin koi sira milta nahi
akhir kyun har rasta ghar sa lagta hai

main khud se nazren nahi mila pata
 ab toh aaina bhi ajnabi sa lagta hai

veerane me apne talash karta hoon
tanhai me kahin saaya sa lagta hai





woh baat jo kabhi kahi hi nahi
woh raah jo chali hi nahi
woh jo kabhi rahi hi nahi
woh kyun dard deti hai
hum khud ko bhi samajh nahi paate
tum ko kyun satate hain 


Cold Icy winds Hit my face, as I watch mothers adjusting caps, keeping babies warm. Men don jackets, gloves, girls wrap themselves in a ...