Bas kuch waqt aur meri jaan
yeh din bhi guzar jayenge
baaqi din ki tarah inko bhi kaat lenge hum
sisak kar seham kar
teri aagosh ki meherban panahon me
kaali raat ke bereham panjo se
teri palko ke band khwabo me
khud ko chhupa kar
Ummeed ki kiran ki aas me
tujhko rakh kar paas me
jab yeh raat guzaregi to
sehar aur bhi haseen hogi
woh subah teri ankh ki nami si namkeen hogi
uska rang tere chehre ki lali se phir bhi kam hoga
phir tujhe shayad na koi gham hoga
main bhi tab shayad pursukoon ho sakoon
wahin aankh moond so sakoon
phir tujhe shayad na mere liye waqt ho
tu bhi shayad ke mujh se tang ho
meri jaan waqt to guzar hi jata hai
par admi badal jata hai!